Truth About Life in Hindi

Doston, aaj ke is article mein main aap logon ke saath kuch bohot hi behtareen “Truth About Life in Hindi” quotes share karne wala hoon. Yeh sab quotes hamari zindagi se related hain aur sachai par adharit hain. In sab quotes ko achhi tarah se research karke likha gaya hai jo hamare jeewan ki haqeeqat ko dikhate hain. Aap logon ko padhne mein asani ho, isliye inhe box mein rakha gaya hai aur saath mein tasveer bhi di gayi hai.

Truth About Life in Hindi

Insaan ki acchai par sab chup rehte hain lekin charcha uski burai par ho to goonge bhi bol uthte hain.

Mana ki waqt satta raha hai, magar kaise jeena hai wo bhi to bata raha hai.

Apna hissa kabhi maang kar dekho saare rishte benaqab ho jayenge aur apna hissa chhod kar dekho saare kaante gulaab ho jayenge.

Samay, vishwas aur samman yeh aisi pakshi hain… udd jayein to wapas nahi aate hain.

Kamai chhoti ya badi ho sakti hai; par roti ki size lagbhag sab ghar mein ek jaisi hi hoti hai.

Kamiyaan to mujh mein bhi bohot hain lekin, main beimaan nahi.

Koi insaan hamesha ek jaisa nahi rehta, waqt haalaat aur log badalne par majboor kar dete hain.

Madhur bol bolna jitna saral hai iska phal usse zyada bhi saral hai.

Thoda sa khud ke liye bhi jee liya karo yeh wo zamaana hai jismein koi nahi kahega ke aap thak gaye ho aaraam kar lo.

Har cheez uthai ja sakti hai sivay gire hue soch ke.

Girgit maahaul dekh kar rang badalta hai aur insaan mauka dekh kar.

Jeevan ka sabse kathin kaam kisi insaan ko pehchanna.

Jahan koshish ka qad bada hota hai wahan naseebo ko bhi jhukna padta hai.

Burai dhoondhne ka shauq hai to shuruaat khud se kijiye doosron se nahi.

Paisa sirf lifestyle badal sakta hai, dimaag niyat aur kismat nahi.

Tan ki khoobsurati to ek bharam hai, sabse khoobsurat to aapki vaani hai… jo chahe to dil jeet le ya chahe to dil cheer de.

Deepak ka jeewan vandaniya hai kyunki woh doosron ke liye jalta hai doosron se nahin…।

Jeetne ke baad to saari duniya gale lagati hai, par jo haarne ke baad gale laga le wahi apna hai

What is the Real Truth About Life

Insaan sab kuch copy kar sakta hai lekin kismat aur naseeb nahin..।

Jhooth isliye jeet jaata hai kyunki sach ka saath dene ki aukaat sabki nahin hoti।।

Satya ke raste par chalne mein faayda hai kyunki is raste par bheed kam milti hai

Badle ki bhavna mein jeene walon ka kirdar bhi badal jata hai.

Jo shakhs hazaron thokrein khane ke liye tayyar hai, woh ek mahaan shakhs banne ke liye bhi tayyar hai.

Aap economy class mein safar karein ya business mein; aapka waqt to utna hi lagega.

Aapka khush rehna hi aapke bura chahne walon ke liye sabse badi saza hai.

Maut jeevan ka ant karti hai, rishte ka nahi.

Also Read Here

Good Morning Shayari for Love in English

Baday bankar baton ko yaad rakhne se kya hasil, kabhi chhotay bankar baton ko bhoolna bhi seekho.

Sambhal kar chaliye. Zindagi ka safar chhota hai, hanste hanste kaatiye, aanand aayega.

Aap kitne bhi lambe kyun na hon, magar aane wala kal aap nahi dekh sakte.

Meethe logon se maine milkar jaana, kadwe log aksar sache hote hain.

Sach bolne wala shakhs na to aastik hota hai aur na hi naastik, woh to har waqt vaastvik hota hai.

Jis shakhs ke vichar mahaan hain, usse shreshth shakhs koi ho nahi sakta.

Sach ke raste par chalne ka ek fayda ye bhi hai ke is raste par aapko bheed kam milegi.

Kapde aur chehre hamesha jhooth bola karte hain, insaan ki asal neeyat uska waqt batata hai.

Akele ho to vicharon par kaabu rakho aur sabke saath ho to zubaan par.

Hawa mein suni hui baaton par yakeen na karein kyunki kaan ke kacche log aksar apna dost kho baithte hain.

Insaan khud ki ghalti par achha wakeel ban jata hai aur doosron ki galtiyon par seedha judge ban jata hai.

Abhimaan kehta hai mujhe kisi ki zaroorat nahi hai aur anubhav kehta hai mujhe mitti ki bhi zaroorat padti hai.

Facts About Life in Hindi

Woh ghalti sabse badi hoti hai, jisme ghalat hone ka ehsaas na ho.

Kashtiyan unhi ki doobti hain jinke emaan dagmagate hain, jinke dil mein achhai hoti hai unke saamne manzil bhi sar jhukate hain.

Soch samajh kar naraaz hua karo apnon se kyunki aajkal manane ka riwaaj khatam ho gaya hai.

Zaroori nahi ke bure karmon ki wajah se hi dard sehne ko milte hain, kai baar had se zyada achha hone ki bhi keemat chukani padti hai.

Gusse mein kabhi ghalat mat bolo, mood to theek ho jayega, lekin kahi hui baat wapas nahi aayegi.

Agar koi aapse jalta hai to aapka bhi karm banta hai ke aap use jala-jala kar raakh kar dein.

Aadmi chhota ho bada koi farq nahi padta, par uski kahani badi honi chahiye.

Jo shakhs jeetne se pehle jeet aur haarne se pehle haar sweekar kar leta hai, woh sadaiv kasht hi paata hai.

Waqt kehta hai main phir na aaunga, mujhe khud nahi pata tumhe hasaaunga ya rulaaunga.

Apne gunaahon par sau parde daalkar har shakhs kehta hai “zamana” bada kharab hai.

Zyada apnapan dikhane wale log ek din bata dete hain ke woh paraaye hain.

Khoi hui cheez ko yaad na kar, jo mila hai usse barbaad na kar.

Doosron ki madad karte hue yadi dil mein khushi ho, to wahi seva hai baaki sab dikhawa hai.

Waqt haalat ko badalta hai aur haalat insaan ko.

Apne hriday ko pavitra rakhne ke liye, sadaiv doosron ka upkaar karte rahein.

Bina naam ke zarur aaya tha
Par ab naam kiye bina kahin nahi jaunga

Ye duniya usi ko maarti jiska halaton ne maara hai

Jis din aap hasi ke malik khud ban jaoge us din ke baad aapko koi bhi rula nahi sakta

Kisi ke liye itna bhi mat giro,
Ke dusra kuchal kar chala jaye

Jhoot chahe kitna hi bada kyu na ho,
Sach ke samne bohot chhota hota hai!!

Zindagi mein woh log hi zyada asafal hote hain
Jo kaam karne se pehle zyada sochte hain

Sach bolne par zyada kuch to nahi milta hai,
Bas kuch log aapke dushman ho jayenge!

Aankhon ke neeche kale ghere batate hain hoton par jo muskaan hai jhooti hai

Rishta dil se hona chahiye, shabdon se nahi, narazgi shabdon mein honi chahiye, dil mein nahi!

Aise jiyo jaise tumhe kal marna ho, aise seekho jaise tumhe hamesha ke liye jeena ho

Zindagi mein aane wale dukho ko koso mat kyunki ye jab bhi aata kuch na kuch sikha kar jaata hai

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *